Paneer RecipesVegetables

Palak Paneer Recipe in Hindi – पालक पनीर बनाने की विधि

Aaj hum banane wale hain Palak Paneer ki sabzi, Palak aur paneer dono ke apne hi fayde hain. To aaiye aaj hum banaye desi tareeke se Palak Paneer ki sabzi.

Palak Paneer Banane ka Tarika Ingredients:

  • Paneer (Cottage cheese) – 250 grams
  • Palak (Spinach) – 2 bunches
  • Adrak (Ginger) – 1 tablespoon
  • Tel (Cooking Oil) – 2 tablespoons
  • Hari Mirch (Green Chili) – 1
  • Tamatar (Tomato) – 2
  • Pyaaz (Onion) – 2
  • Lahsun (Garlic) – 4 to 5 cloves
  • Lal Mirch Powder (Red Chili Powder) – ½ tablespoon
  • Namak (Salt) – Swadanusaar

Palak Paneer ki Sabzi Kaise Banaye – Palak Paneer Recipe in Hindi:

  1. Palak Paneer ki sabzi banane ke liye, sabse pehle palak ko saaf karke kaat lein aur bahate pani mein achhe se dho lein.
  2. Kati aur dhuli hui palak ko cooker mein ek seeti lagvayein aur thanda hone par grinder ki madad se pees kar puree bana lein aur ek taraf rakh dein.
  3. Palak tayar hone ke doran pyaaz, tamatar, adrak, lahsun, aur hari mirch ko alag alag bareek kaat ke rakh lein.
  4. Ab ek kadai mein tel garam kar lein. Garam tel mein bareek kata hua adrak aur lahsun daalein aur dheemi aanch par khushboo aane tak paka lein.
  5. Kadai mein bareek kata hua pyaaz aur hari mirch daalein aur dheemi aanch par pyaaz bhura hone tak paka lein.
  6. Kadai mein bareek kata hua tamatar daalein aur dheemi aanch par pyaaz tamatar ke masale ko tel chhodne tak paka lein. Lal mirch powder aur swadanusaar namak kadai mein daal kar milayein.
  7. Tayar pyaaz tamatar ke tadke mein palak ki puree daal kar achhe se mila lein aur kadai ko dhak dein. Kareeb 10 minutes ya sabzi ke tel chhodne tak dheemi aanch par pakayein. Sabzi ko beech beech mein chalate rahein.
  8. Paneer ko chakor tukdo mein kaat kar kadai mein daal dein aur lagbhag 5 minutes ke liye pakayein.
  9. Palak Paneer ki sabzi parosne ko taiyar hai. Garama garam Palak Paneer ki sabzi ka anand lein.

Note: Palak Paneer ki sabzi ko creamy banane ke liye aap isme tazi doodh ki malai phent kar daal sakte hain.

How to make Palak Paneer – पालक पनीर बनाने का तरीका

Ingredients:

  • पनीर (Cottage cheese) – 250 ग्राम
  • पालक (Spinach) – 2 गुच्छी
  • अदरक (Ginger) – 1 चम्मच
  • तेल (Cooking Oil) – 2 बड़े चम्मच
  • हरी मिर्च (Green Chili) – 1
  • टमाटर (Tomato) – 2
  • प्याज (Onion) – 2
  • लहसुन (Garlic) – 4 से 5 कलियाँ
  • लाल मिर्च पाउडर (Red Chili Powder) – ½ चम्मच
  • नमक (Salt) – स्वादानुसार

पालक पनीर की सब्जी कैसे बनाएं – Palak Paneer Recipe in Hindi:

  1. पालक पनीर की सब्जी बनाने के लिए, सबसे पहले पालक को साफ़ करके काट लें और बहते पानी में अच्छे से धो लें।
  2. कटी और धुली हुई पालक को कुकर में एक सीटी लगवाए और ठंडा होने पर ग्राइंडर की मदद से पीस कर प्यूरी बना लें और एक तरफ रख दें।
  3. पालक तैयार होने के दौरान प्याज़, टमाटर, अदरक, लहसुन और हरी मिर्च को अलग अलग बारीक काट के रख लें।
  4. अब एक कड़ाही में तेल गरम कर लें। गरम तेल में बारीक कटा हुआ अदरक और लहसुन डालें और धीमी आँच पर खुश्बू आने तक पका लें।
  5. कढ़ाई में बारीक कटा प्याज़ और हरी मिर्च डालें और धीमी आँच पर प्याज़ भूरा होने तक पका लें।
  6. कढ़ाई में बारीक कटा हुआ टमाटर डालें और धीमी आँच पर प्याज़ टमाटर के मसाले को तेल छोड़ने तक पका लें। लाल मिर्च पाउडर और स्वादानुसार नमक कड़ाही में डाल कर मिलायें।
  7. तैयार प्याज़ टमाटर के तड़के में पालक की प्यूरी डाल कर अच्छे से मिला लें और कड़ाही को धक दें। करीब 10 मिनिट या सब्ज़ी के तेल छोड़ने तक धीमी आँच पर पकाएं। सब्ज़ी को बीच बीच में चलाते रहें।
  8. पनीर को चकोर टुकड़ों में काट कर कढ़ाई में डालें और लगभग 5 मिनिट के लिए पकाएं।
  9. पालक पनीर की सब्ज़ी परोसने को तैयार है। गरमा गरम पालक पनीर की सब्ज़ी का आनंद लें।

Note:

  • पालक पनीर कि सब्ज़ी को क्रीमी बनाने के लिए आप इसमे ताज़ी दूध की मलाई फेंट कर डाल सकते हैं।