Pickles (Achar)

Carrot Pickle Recipe in Hindi – Gajar ka Achar Banane ki Vidhi

Gajar ka achar bahut hi swadisht hota hai aur isse banana aur bhi bahut saral hai. Yeh achar zyada teekha nahi banaya gaya hai, isliye bachche bhi isey bahut shauk se khasakte hain. Sardiyon ke dino mein ras se bhari hui gajar milti hai, isliye hum is achar ko sardiyo mein banana aur khana pasand karte hain.

Aap chahein to gajar ki aur recipes jaise ki gajar ka halwa, gajar ka murabba try kar sakte hain.

Gajar ka Achar Banane ka Tarika:

Ingredients:

  • Gajar (Carrots) – ½ kilo
  • Lal Mirch Powder (Red Chili Powder) – ½ chammach
  • Rai (Mustard Seeds) – 1 chammach
  • Haldi Powder (Turmeric Powder) – ½ chammach
  • Sarson ka Tel (Mustard Oil) – 2 chammach
  • Namak (Salt) – 1 chammach

Gajar ka Achar Ghar par Kaise Banaye:

  1. Gajar ka achar banane ke liye, gajar ko achhe se dho kar cheel lein aur ek ek inch lambai mein kaat kar dho lein.
  2. Ek plate ya thal mein kati hui gajar ko dhoop mein 1 se 2 din ke liye sukha lein. Isse gajar ka paani achhe se sookh jayega.
  3. Ab ek bartan mein sarson ka tel, lal mirch powder, haldi powder, pisi hui rai, gajar ke kate hue aur sookhe tukde, aur namak daal kar achhe se mix kar dein.
  4. Masale mix karke gajar ko haathon se masal lein taaki masala achhe se gajaron par lipat jaye.
  5. Ek saaf aur sukhe kaanch ke bartan ya martbaan mein taiyar kiya hua gajar ka achar daal kar achhe se band kar dein.
  6. Gajar achhe se taiyar ho jaaye to uske liye achar wale bartan ko 1 se 2 din tak dhoop mein rakh dein.
  7. Taiyar hone par gajar ka achar khane ke saath serve karein.

Note:

  • Achar banane ke liye ras bhari gajron ka istemaal karein, achar swadisht banega.
  • Sookhe aur saaf bartanon ka hi istemaal karein achar banane ke liye.
  • Achar nikalne ke liye hamesha sookhi chamach ka hi pryog karein.

How to make Carrot Pickle – गाजर का अचार बनाने का तरीका

Ingredients :

  • गाजर (Carrots) – ½ किलो
  • लाल मिर्च पाउडर (Red chili Powder) – ½ चम्मच
  • राइ (Mustard Seeds) – 1 चम्मच
  • हल्दी पाउडर (Turmeric Powder) – ½ चम्मच
  • सरसो का तेल (Mustard Oil) – 2 चम्मच
  • नमक (Salt) – 1 चम्मच

गाजर का अचार घर पर कैसे बनाए – Gajar ka Achar Recipe in Hindi:

  1. गाजर का अचार बनाने के लिए, गाजर को अचे से धो कर चील लें और एक एक इंच लम्बाई में काट कर धो लें।
  2. एक प्लेट या थाल में कटी हुई गाजर को धुप में १ से २ दिन के लिए सुखा लें। इससे गाजर का पानी अच्छे से सूख जायेगा।
  3. अब एक बर्तन में सरसो का तेल, लाल मिर्च पाउडर, हल्दी पाउडर, पिसी हुई राइ, गाजर के कटे और सूखे टुकड़े और नमक डाल कर अच्छे से मिक्स कर दें।
  4. मसाले मिक्स करके गाजर को हाथों से मसल लें ताकि मसाला अचे से गाजरों पर लिपट जाए।
  5. एक साफ़ और सूखे काँच के बर्तन या मर्तबान में तैयार किया हुआ गाजर का अचार डाल कर अच्छे से बंद करे।
  6. गाजर अच्छे से तैयार हो जाये उसके लिए अचार वाले बर्तन को से 1 से 2 दिन तक धूप में रखें।
  7. तैयार होने पर गाजर का अचार खाने के साथ सर्व करें।

Note:

  • अचार बनाने के लिए रस भरी गजरों का इस्तेमाल करें, अचार स्वादिष्ट बनेगा।
  • सूखे और साफ़ बर्तनों का ही इस्तेमाल करें अचार बनाने के लिए।
  • अचार निकालने के लिए हमेशा सूखी चम्मच का ही प्रयोग करें।

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *