Sweet Dish

Gajar Ka Halwa Recipe in Hindi – Gajar Halwa Banane ki Vidhi

Sardiyo ke mausam mein Gajar ka Halwa khane ka maza hi kuch aur hai. Aap Gajar ka Halwa banane ke liye khoya ki jagah condensed milk ka istemaal bhi kar sakte hain. Halwa banane ke liye naram, ras bhari gajar ka istemaal karenge to halwa bahut hi swadisht banega. To aaiye jaane Gajar ka Halwa recipe Hindi mein.

Gajar ka Halwa Banane ki Vidhi: Ingredients:

  • Gajar (Carrot) – 1 kg (Kaddukas ki hui)
  • Doodh (Milk) – 1 liter
  • Chini (Sugar) – 250 gm
  • Khoya – 100 gm
  • Kaju (Cashew) – 10 (Barik kata hua)
  • Kishmish (Raisins) – 20
  • Pista (Pistachios) – 10 (Barik kata hua)
  • Badam (Almonds) – 10 (Barik kata hua)
  • Elaichi Powder (Cardamom Powder) – 1/2 tsp
  • Ghee – 2 bade chammach

Khoya se Gajar ka Halwa Kaise Banaye:

  1. Gajar ka Halwa banane ke liye sabse pehle gajar ko dho kar chheel lein aur kaddukas kar lein.
  2. Ab ek mote talle ki kadhai mein doodh garam hone ke liye rakhain. Ek ubla ane par aanch dheemi kar dein aur kaddukas ki hui gajar daalkar achhe se mila lein.
  3. Gajar ko beech beech mein hilate rahein.
  4. Doodh sookh jaane par kadhai mein ghee daalain aur thodi der kariq 5 se 10 minute dheemi aanch par gajar ko bhune.
  5. Bhun jaane par isme chini, khoya aur elaichi powder daal kar milayein aur chini ghulne tak pakaayein.
  6. Chini ghul jaane par barik kate hue dry fruits jaise ki badam, pista, kaju, kishmish daalain aur mix karke gajar ke halwe ki nami khatam hone tak halwa pakaayein, phir gas band kar dein.
  7. Swadisht Gajar ka Halwa tayaar hai. Serving bowl mein daal kar dry fruits se saja kar tayaar Gajar ka Halwa serve karein.

Notes:

  • Gajar ke halwe mein desi ghee daalne se halwa aur bhi swadisht banata hai.
  • Halwa banate samay beech beech mein use chalate rahein nahi to halwa jal bhi sakta hai.

HOw to make Gajar Halwa – गाजर का हलवा बनाने की विधि Hindi mein:

Ingredients:

  • गाजर (Gajar) – 1 kg (कदूकस की हुई)
  • दूध (Doodh) – 1 liter
  • चीनी (Chini) – 250 gm
  • खोया (Khoya) – 100 gm
  • काजू (Kaju) – 10 (बारीक कटा हुआ)
  • किशमिश (Kishmish) – 20
  • पिस्ता (Pista) – 10 (बारीक कटा हुआ)
  • बादाम (Badam) – 10 (बारीक कटा हुआ)
  • इलाइची पाउडर (Elaichi powder) – 1/2 tsp
  • घी (Ghee) – 2 बड़े चम्मच

खोया से गाजर का हलवा केसे बनायें – Gajar ka Halwa Recipe in Hindi:

  1. गाजर का हलवा बनाने के लिए, सबसे पहले गाजर को धोकर छील लें और कद्दूकस कर लें।
  2. अब एक मोठे तले की कड़ाही में दूध गरम होने के लिए रखें। एक उबाला आने पर आंच धीमी कर दें और कद्दूकस की हुई गाजर डालकर अच्छे से मिला लें।
  3. गाजर को बीच बीच में हिलाते रहे।
  4. दूध सूख जाने पर कड़ाही में घी डालें और थोड़ी देर करीक ५ से १० मिनट धीमी आंच पर गाजर को भूने।
  5. भून जाने पर इसमें चीनी, खोया और इलाइची पाउडर डाल कर मिलाएं और चीनी घुलने तक पकाएं।
  6. चीनी घुल जाने पर बारीक कटे हुए ड्राई फ्रूट्स जैसे की बादाम, पिस्ता , काजू , किशमिश डालें और मिक्स करके गाजर के हलवे की नमी ख़तम होने तक हलवे को पकाएं और फिर गैस बंद कर दें।
  7. स्वादिष्ट गाजर का हलवा तैयार है। सर्विंग बाउल में डालें और ड्राई फ्रूट्स से सजा कर तैयार गाजर का हलवा सर्वे करें।

Notes:

  • गाजर के हलवे ,में देसी घी डालने से हलवा और भी स्वादिष्ट बनता है।
  • हलवा बनाते समय बीच बीच में उसे चलाते रहे नहीं तो हलवा जल भी सकता है।

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *